Thursday 29 March 2012

KYUNKI KAAM KO KABHIE KAAM NAHI SAMJHA

Aankhon mein sapnon ki jhilmilti ladiyaan hain, pata hai mujhe ki mujhe is zindagi se kya chahiye. Manzil dikh rahi hai apne saamne. Ankhon mein saja hua hai uska eke k manzar. Or sirf sapne dekhne ki aadaat nahi, samjha hai raaho k swabhaav ko, or fir taya kiya hai, ki kaunsi raah chunni hai, suna hai mushkilon k bare me or tab dhundha hai apne andar unka solution. Tab jaake decide kiya hai ki journalism karna hai.

Par ek mushkil hai. Chalne ka mann hai or chalna aata bhi hai par raahon ka kuch pata nahi. Koi raah dikh hi nahi rahi hai.

Aap soch rahe honge ki mujhe darr lag raha hoga, ek anjanepann ka darr. Ek question mark hoga mann mein is baat ko lekar ki aage kya hoga?
To you are right. Question mark to hai, par confidence bhi hai, or confidence is baat ka hai ki jo bhi hoga bhut achcha hoga.



Ek baat jo dil se nikal rahi hai wo ye ki:

RAAHON PE CHAL JAAU,
OR PATA BHI NA CHALE.
JAB MANZIL PE PAHUNCH JAU,
TAB AANKHEIN KHULEN.
PEECHEE MUD K DEKHU TO EHSAAS HO,
KI EK LAMBA RAASTA TAYA KIYA,
FLASH BACK MEIN JAAU TO PATA CHALE,
KI JEE TO MENE RAAH KA EK EK MANZAR LIYA.
YE SAB HOGA FUTURE MEIN,
OR TAB AAYEGA EK QUESTION MIND MEIN,
KI ITNI MEHNAT KI,
KAANTE BHI THE RAAHON MEIN,
PHIR BHI RAAHEIN ITNI AASANI SE KESE KATIN,
PATA KYU NA CHALA?
US QUESTION KA ANSWER ABHI MERE PAAS HAI,
OR CHAHTI HU,
KI ISI ANSWER KO LEKE KAR JAAU,
APNI HAR SAFAR TAYA.
JAWAB MEIN HAI YE FUNDA,
KI KAAM KO KABHI KAAM NAHI SAMJHA.
KI KAAM KO KABHI KAAM NAHI SAMJHAA.



1 comment: